Meri khamosh qalam

Ishq me yar had se gujar kar dekhte
Kash ham unko unka ban kar dekhte.

Kuche me baith kar husn ko uske dekhna
Door se kya ai khuda najdik jakar dekhte.

Karen wo bhi nigah do char agar hampe
Hasrat hai kabhi hambhi jan luta kar dekhte.

Padi bhi har jaye gar husn ki baji ho
mile ejajat to ek aah bhar kar dekhte

Yun to har phool pe hoti hai mali ki najar
Qasam us kumudni ko bhoura ban kar dekhte.

Apne tasawur me jo khinchi tere taswir ki nib
Qatil si nigah me gustakh ban kar dekhte.

Agar muhabbat ka barabar dono taraf asar hota
Fir kya jam shaqi sara sagar pi kar dekhte.

Hasil justaju-e-muhabbat me kuch to ho AMANAT
Najuk se hanthon me unke aayina ban kar dekhte..

Leave a comment